Backlink kya hai aur apne blog ke liye backlink kaise banaye ?

Backlink kya hai aur apne blog ke liye backlink kaise banaye ?


Ek blogger ko apna blog successful banane ke liye bahut jankariyon ki jarurat padti hai tabhi uska blog grow kar sakata hai jisme bahut chije aa jati hain lekin aaj hum bat karne wale hain backlink ke bare me joki seo ka ek bahut jaruri part hai .

Hum aapko seo ke kayi important fact ke bare me already hi bata chuke hain jo ki aapko apne blog ko grow karne me help karenge jaise ki abhi hamne kuch hi din pahle keyword ke bare me bataya .

Waise toh hame seo ke sabhi matters par hame focous karna hota hai but aaj hum bat karenge sirf backlink ke bare me yani ki backlink kya hai aur apne blog ke liye backlink kaise banaye .

Backlink kya hai blog ke liye backlink kaise banaye


Backlink kisi bhi blog ko bahut unchayi par pahuncha sakate hain but iska matlab ye bhi nahi hai ki aapke blog ko kahi se bhi kaisa bhi backlink mil jaye toh aapka blog bahut grow kar jayega, balki backlink ki quality bhi jaruri hai .

Google search ke liye backlink ye bahut mayne rakhta hai ki aapke blog ko kin sites se backlink mile hain aur aapke blog ke backlink yadi aise websites/ blogs se hain jo ki aapke blog ke topic ke hain toh ye aapke liye faydemand sabit ho sakata hai .

Backlinks ka blog me kya work hota hai, blog ke liye backlinks kyun jaruri hote hain

Waise toh backlink sabhi blog ke liye jaruri hote hain lekin beginner blogs par utne backlinks nahi hote hain utne backlinks kya kuch bhi nahi hote hain aur aisa bhi hota hai ki kuch new blogs bahut kam time me hi bahut jyada backlink pa jate hain lekin aise bhi blogs hote hain jo ki bahut long time me bhi kuch jyada backlinks nahi bana pate hain ( waise toh ye us blog ke owner ke work par depend karta hai jo jitna jyada work karta hai uska blog utne hi kam time me jyada backlinks pa jata hai jyada popular ho jata hai .)

Backlinks seo booster ka work karte hain, yani ki jaise jaise aapke blog ke backlinks badhte jayenge aapke blog ki ranking google me badhti jayegi .


Lekin backlink badhne ke sath Google me ranking badhne se mera matalab ye nahi hai ki aapka blog backlinks ki wajah se top par aa jayega balki aapke blog ki ranking, backlink badhne ki wajah se pahle ke mukable behtar ho jayegi .

Yadi aap accha work kar rahe hain toh high backlink wale blog ko bhi bahut kam backlink par hi peeche kar sakate hain .

Backlink kya hai


Hamare blog ka koi link yadi kisi dusare blog or website par hota hai aur search engine use fully access kar sake toh us link ko hamare blog ka backlink kaha jata hai .

Almost world me jitni bhi websites hain sabhi google, bing jaise search engine me jarur hain jinme se ek aapka blog bhi hai aur backlink ka seedha matlab hai ki aapka blog kisi dusre blog, website par hona joki search engines me ho .

Yani ki jaise man lijiye aap kisi blog par jate hain aur uspar comment karte hain toh aapne dekha hoga ki maximum blogs par hame apne blog ka link bhi dalne ka option milta hai yadi hum waha comment karte hain aur us website option me apne blog ka link dalte hain toh hame us blog / website se backlink milta hai .

Yani ki aapke blog ka koi bhi link homepage, content link, page link koi bhi kisi dusre domain par hone se ek tarah se aapka blog us blog, website se jud jata hai aur hamare blog ko backlinks milte hain aur us website ke user jab us link par click karenge jo ki hamare blog ka url us blog par hai toh woh hamare link / backlink ki wajah se hamare blog par redirect ho jayenge .

Jisse hamare blog ko us blog, website referral traffic milta hai aur hum us blog ko apne blog ka referring domain bhi kah sakate hain lekin ye aapke blog ka link joki kisi dusre blog par hai yadi usko google ne abhi crawl nahi kiya hai toh aap use backlink nahi kah sakate hain .

Aur jab aapke blog ke us link ko googke read kar lega toh hamare blog ko uska backlink milta hai jo ki google me hamari position behtar banati hai .

Isliye ye bhi koi jaruri hi nahi hai ki jis jis website or blog par aapke blog ka link ho toh usse aapko backlink mile hi, aur iske bahut se reason ho sakate hain jo ki hum aapko aage batayenge .


Is tarah backlink kabhi bhi banane ka prayash na kare

Jaisa ki aapko pata chal chuka hai ki blog ke liye backlink kitna jaruri hai toh aapke mind me ye bat jarur aa rahi hogi ki jyada se jyada backlink kaise banaye, lekin aapko kuch chijo se bachna hai jaise ki -

Paid backlink - yadi aapne kabhi backlink ke bare research kiya hoga toh aapko aisi bahut si websites dikhi hongi jo ki aapko backlink dene ka offer deti, yani ki unka rate hota hai ki aap hame itna pay karo toh hum aapko itna backlink denge .

Aur kayi options hote hai kam backlink ja jyada backlink ka but aapko aisi hi companies se bachna hai kyunki man lo yadi aap inse backlink buy karte hain toh uske results kya honge .

Shayd starting me hi aapke blogging career ka end hi jaye kyunki aise me google aapke blog ko search results se hata bhi sakata hai aur phir aap chahe jitni mehnat kare apne blog par usse aapko koi fayda nahi hoga .

Aur kya guarantee hai ki yadi aap kisi website se backlink buy karne ja hi rahe hain aur use payment kiya toh aapko backlink degi hi, toh yani ki sabhi conditions me paid backlink banana aapke blog ke liye harmfull hai .
Back kya hai

Backlinks kaise banaye


Hum aapko sirf paid backlink banane se mana kar rahe hain aur baki toh aise bahut se legal tareeke hain jinse aap apne blog ke liye quality backlink bana sakate hain jo aapke blog ki search engines me aapki ranking badhane me help kar sakate hain jaise ki --

Backlink kya hai Waise toh backlink banane ke 2 sabse jyada popular tareeke hain

1. Comment karna aap kisi bhi blog par comment karke apne blog ke liye backlink bana sakate hain lekin commenting se backlink banane ke liye ek khas bat ka khyal rakhna hoga yani ki hame us topic ke blog par comment karna hoga jis topic par hum blogging kar rahe ho .

Yadi aapka blog coocking par hai aur aap technology blog par comment karenge, story, jockes, blog par comment karenge toh usse aapke blog ko kuch khas benefit nahi hoga .

Waise toh aapke blog ko us blog se backlink toh mil hi jayega but woh low quality backlink hoga, aur yadi us topic ke blog par comment kiya hai jis topic par aapka blog hai toh aapko quality backlinks milenge .

lekin aapko pata hoga ki hum comment karke itne backlink nahi bana sakate hain ki hamara blog google me top aa jaye hame backlink banane ke liye commenting ke sath sath dusre raston ko bhi apnana hoga jo ki hame backlink provide kar sake .


2. Guest post - hum kisi blog par jo ki guest post accept karta ho us blog ke liye article likh sakate hain jisme apne blog ka short bio de sakate hain apne blog ka url dal sakate hain jisse ki hamare blog ko referral traffic aur backlink milenge .

3. Directory submission - although main directory submission me time waste karne ke bajay blog par content publish katmrna jyada like karta hoon but yadi aap directories me apne blog posts ko submit karte hain toh waha se bhi aapke blog ko backlink mil sakata hai .

4 . Social connectivity - Aap social websites par logo ke sath judiye jab bhi new article publish kare toh social websites par jarur share kare kyunki bhale hi social websites nofollow tags use karte hain lekin isse referral traffic milta hai aur blog post jyada logo tak panhuchta hai aur aapka link jyada se jyada viral hoga possible hai ye bhi aapko backlink dilane me help kare .

5 . Aapko bahut si question answer websites mil jayengi jaise ki quora, yahoo question answer etc aap inpar questions ke answer de sakate hain aur jarurat ke anusar unpar apna url dalkar backlink bana sakate hain .

6 . Waise toh backlink ke bare me main ek bat clear kar dena chahata hoon taki aapka time waste na ho .

Aap apne blog ke liye backlink banane ke liye jo kuch bhi karna chahe kar sakate hain woh aapki iccha hai aur aap chahe kuch bhi kare lekin kuch jyada backlink nahi bana payenge .

Isliye backlink banane ka sabse accha tareeka hai acche articles likhna aur social websites par share karna .

Aap acche articles likhe jo ki logo ko pasand aaye aur un article ko social websites par share kare kyunki aise me aapka blog post jyada se jyada viral hoga, sirf aap hi nahi balki aapke readers bhi aapke blog post ko share karenge aur aise me bahut speed se backlink banenge .

Finally sabse jaruri chij ki aap ye kaise janenge ki aapke blog ke kitne backlinks hain .

Blog par kitne backlinks hain kaise check kare


Aap kayi tarah se apne blog ke backlinks ko check kar sakate hain .

Jisme se main hai google search console .

Aap apne google search console account me jaiye aur right side me traffic par click kare aur uske bad link to your site par click kare yaha par aapke blog ke sabhi backlinks dikhayi denge .

Dikhega ki aapke blog ko kis kis domain se backlink mila hai aur sath me ye bhi dikhega ki kis domain par kitne urls links jude huye hain .

Aur dusra hai semrush aap ispar bhi apna account banakar apne blog ke backlinks check kar sakate hain aur aap semrush par sirf backlinks hi nahi check kar payenge balki aap apne blog se related aur bhi bahut si jankariyan prapt kar sakate hain aapko semrush se seo me bahut help milegi .

Aur phir uske bad bahut si websites hain jinpar aap apne blog ka backlink check kar sakate hain sirf aapko google me itna type karna hai " website backlink checker " bus aapke samne bahut si websites aa jayengi jinme aap kisi bhi website ka backlink check kar sakate hain .

Linkminer
Ahrefs

Yadi aap computer use karte hain toh aap apne computer ke chrome me seo extension install kar sakate hain, aur phir jab aap google me kuch search karenge toh search results me aayi huyi  websites ya phir aap jis websites / blog par jate hain unke bhi backlinks, keyword aur kayi helpful jankariya aapko mil jayegi .

Although mujhe toh ye nahi lagta ki koi website correct detail deti hai kyunki har website par ek hi website, extension etc par backlinks ki quantity alag alag milti hai lekin phir bhi koi bat nahi hum in sabse apne blog ke backlink ki lagbhag quantity yani ki hamare blog ke backlinks lagbhag itne hain pata kar sakate hain .

Keyword kitne type ke hote hain
Do follow backlink - hamare blog ko sirf unhi websites / blog is backlink milta hai jo do follow tag use karte hain, do follow ek code hai jisse koi bhi website owner apne blog par kisi dusre blog / website ke link ko allow karta hai yani ki woh search engines ko is code ke jariye batata hai ki ye url hamse juda hai aur is backlink se hamare blog ko benefit milta hai .

No follow backlink - Ye backlink do follow ka same opposite hai isme hamara link ek tarah se blocked rahta hai, is backlink se hamare blog ko koi benefit nahi hota hai .


Example - jab aap blogger.com ke blog par post dalte hain aur us post me koi link dalte hain toh use backlink mil jata hai, sath me hame ek option milta hai " Add 'rel=nofollow' attribute " yadi hum is option ko select karte hain toh hamne jis link ko add kiya hai woh blog hamare blog se no follow backlink payega .

Low quality backlink - yadi hamare blog ko kisi bad site or google ranking me poor website se bavklink milte hain toh unhe low quality backlink kaha jata hai .

High quality backlink - jab hamare blog ko google ranking me acchi websites se backlink milta hai toh use high quality backlink kahte hain .

Hame umeed hai ki aapko puri jankari mil gayi hogi ki backlink kya hai aur sahayd ab aap bhi apne blog ke liye quality backlink banane ke liye work karenge aur apne blog ki ranking badha payenge lekin yad rahe ki sirf backlink par hi balki seo ke baki sabhi matters par bhi work kare kyunki sirf kisi ek point ko cover karke success nahi milti hame seo ke sabhi points par focous karna hoga .

Comments

  1. good sir

    https://aryansale.blogspot.com/

    ReplyDelete
  2. Good Article.
    <a href="http://aitechknow.com/backlink-kya-hai-kaise-banaye/”>Backlink Kya Hai Kaise Banaye (s)</a>

    ReplyDelete

Post a Comment